ajkerit

Gorilla glass kya hai


Gorilla glass kya hai
Gorilla glass kya hai

Hello doston kaise hain aap aaj ki is post me hum baat karenge gorilla glass ke bare me aapne
iske bare me zaroor suna hoga aj me apko iske poori details bataunga,agar hamare phone par koi
hard cheez lag jaye to phone ki screen par nishan aa jate hein yahi wajah he ki ab kuch mobile phones
me gorilla glass aane laga hai jis se ki phone par nishan na aayein lekin doston gorilla glass he kya or ye kitna kaargar he is post me aaj hum yahi jan ne ki koshish karenge.

Doston wese to gorilla glass ek kaanch hi he jo ke anti scrath hota he isiliye ise mobile phones me use kiya jata he taki phone ki screen par nishan na aayein,ye kaafi majboot or tikau hota hai is glass ko phones me sabse pehle 2007 me lagaya gaya tha.Ye majboot to hota he lekin asal sachchayi ye he ki ye glass kuch had tak hi scrach ko rok pata hai isliye ye na sochiyega ki aapne agar ise laga liya he to ab scrach aa hi nahin sakte.
 
Kya gorilla glass par scrach aa sakte hain?
Doston hardness ko mohs scale se maapa jata hai isme har cheez ko uski hardness ke hisab se number diye jate hein chaliye neeche kuch cheezon ki list dekh lete hein.


1.Diamond(Heera)
2.Corundum
3.Topaz
4.Quarts
5.Orthoclase feldsper
6.Apatite
7.Fluorite
8.Calcite
9.Gypsum
10.Talk

Is list me 1 number par sabse hard or 10 number pe sabse soft cheez he is sse pata chalta he ki talk sabse soft or heera sabse hard hota hai iske anusar agar kisi cheez ka harness scal 5 he to ab agar hum us se neeche wali kisi cheez se scrach karte hein to us par nishan nahin aayenge lekin agar 5 se zyada wali cheez se scrach karenge to nishan aa jayenge.

Is hisab se gorilla glass ka jo hardness scal he wo 6.5 he or jo cheezein aksar hamari jeb me payi jati hein jese chaabhi  sikke inka hardness scal 6 se kam hota he isliye ye gorilla glass pe nishan nahin kar sakte lekin agar 6.5 se zyada scal ki koi cheez se is par scrach kiya jayega to is par nishan aa jayenge.

For example ret ka hardness scal 7-8 hota he isliye agar apka phone ret me gir jaye or aap use hath se ragad kar saaf karte hein to apke glass par scratch aa jayega,to friends ye thi gorilla glass se judi kuch jankariyan ummeeed he ki aapko pasand aayi hogi to doston aisi hi rochak jankariya pate rehne ke liye is website ko follow kijiye or hamare youtube channel ko bhi subscribe kar lijiye
thanks for visit.

এই পোস্টটি পরিচিতদের সাথে শেয়ার করুন

পূর্বের পোস্ট দেখুন পরবর্তী পোস্ট দেখুন
এই পোস্টে এখনো কেউ মন্তব্য করে নি
মন্তব্য করতে এখানে ক্লিক করুন

আজকের আইটির নীতিমালা মেনে কমেন্ট করুন। প্রতিটি কমেন্ট রিভিউ করা হয়।

comment url
ajkerit
ajkerit
ajkerit
ajkerit