ajkerit

Blog Ko Google Search Consol Me Kese Add Karte Hain

Hello friends kese hein aap ummeed he ki aap sab achche honge doston aaj ki is post me me apko bataunga ki aap kis tarah se apne blog ya website ko google search consol me add kar sakte hein or use verify kara sakte hain.
Blog Ko Google Search Consol Me Kese Add Karte Hain  
Blog Ko Google Search Consol Me Kese Add Karte Hain 






Iske liye aap sabse pehle is link par click karke search consol ke page par jaiye ya fir apne blog ke seshboard pe jaiye or setting me  search perfrences pe click kijiye yahan apko google search consol ka option mil jayega aap jese hi edit pe clcik karenge aap seedhe search comsol ke home page par pahunch jayenge.

Yahan par apko add property ka ek option nazar aayega jesa ki aap neeche image me dekh sakte hain apko add property par clcik kar dena he clcik karte hi apke samne ek chota sa box open ho jayega isme apko apne blog ka url dalna he or add kar dena hai.

Blog Ko Google Search Consol Me Kese Add Karte Hain


Iske baad apke samne ek naya page open hoga yahan pe apse apne blog ko verify karne ko kaha jayega yahan bahut sare option apko milenge apne blog ko verify karne ke liye lekin apko alternate mathod ko choose karna he ye sabse aasan he jese hi aap alternate method pe click karenge yahan par bhi apko 4 option milenge inme se apko pehla wala option choose karna he html wala jese hi aap is par tick lagayenge apko ek html code mil jayega is code ko apko dhyan se copy kar lena he iske baad aap apne blog ke desh board par jaiye or theme pe clcik kijiye iske baad edit theme pe clcik kijiye ab apko kuch is tarah se nazar aayega jesa aap neeche image me dekh sakte hein.

Blog Ko Google Search Consol Me Kese Add Karte Hain



Yahan pe apko apni theme me head search karna he wese head apko teesri ya chothi line ke baad hi mil jayega apko head ke theek neeche us code ko pest kar dena he jo apko search consol se mila he iske baad aap theme ko save kar dijiye.

Ab aap wapas search consol pe jaiye or waha par aapko neeche verify ka option nazar aayega is par clcik kar dijiye jese hi aap is par clcik karenge page rfresh hoga or apko massage nazar aa jayega ki apka blog verify ho gaya he.

To friends ummeed he ki aap samjh gaye honge fir bhi agar kuch pareshani ho to aap neeche diya hua video dekh sakte hein or comment karke bhi poonch sakte hein,to dosto agar apko ye post achchi lagi ho or aap aage bhi aisi hi post ke liye humsae jude rehna chahte hein to abhi hamari is website ko join kar lijiye or hamare youtube channel raza technology tips ko bhi subscribe kar lijiye ,thanks for visit.

এই পোস্টটি পরিচিতদের সাথে শেয়ার করুন

পূর্বের পোস্ট দেখুন পরবর্তী পোস্ট দেখুন
এই পোস্টে এখনো কেউ মন্তব্য করে নি
মন্তব্য করতে এখানে ক্লিক করুন

আজকের আইটির নীতিমালা মেনে কমেন্ট করুন। প্রতিটি কমেন্ট রিভিউ করা হয়।

comment url
ajkerit
ajkerit
ajkerit
ajkerit