ajkerit

Kya Apke Phone Ki Battery Kam Chalti Hai

Hello friends kese hein aap ummeed he ki aap sab log achche honge,doston kya apke phone ka battery backup bahut kam ho gaya hai or aapko din me kai baar phone ko charge karna padta hai?agar haan to ye post apke liye hai aaj me apko android phone ki 2 aisi seetings ke bare me batane ja raha hoon jinhein agar aap kar lenge to apke phone ka battery backup badh jayega ,to chaliye doston shuru karte hain.
Kya Apke Phone Ki Battery Kam Chalti Hai
Kya Apke Phone Ki Battery Kam Chalti Hai 








Friends sabse pehle me apko bata du ki apke phone ki battery bina use kiye kyon kharch hoti he doston iska pehla karan ye he ki hum din bhar me jitni bhi apps open karte hein or use karne ke baad band kar dete hein lekin hum to un apps ko band kar dete hein lekin background me wo sari apps process karti rehti hein jis ki wajah se hamare phone ki battery zyada kharch hoti hai.

Doosri wajah ye he ki hamare phone me touch sound,touch vibrate,screen lock sound jesi bahut si services active rehti hein inse bhi phone ki battery par bahut asar padta hai isliye aaj me apko ek ek karke in dono settings ke bare me bataunga.

To chaliye dosto baat karte hein pehli setting ke bare me iske liye apko apne phone ki setting me jana hai or sabse neeche apko about ka option milega apko is par click karna hai iske baad apko build number naam ka ek option nazar aayega is par apko 7-8 baar jaldi jaldi click karna hai aisa karne se apke phone ka developer option enable ho jayega ab aap back kijiye aap dekhenge ki about ke theek ooper aapko developer option nazar aa raha hai.

Ab aap developer option pe click kijiye or neeche se doosre ya teesre number par aapko backgroung process limit naam ka option nazar aayega apko is pe click karna hai  isme apko 5-6 option nazar aayege or standerd limit pe tick laga hoga apko ise change karna hai apko ek option nazar aayega no backgroung process apko is pe tick laga dena hai bas fir back aa jaiye apka kaam ho gaya.


Doosri setting ke liye aap apne phone ki setting me jaiye or sound ka option serch kijiye agar apke phone me search ka option nahi he to aap profile me jaiye or use edit kijiye isme apko neeche ki side kuch extra options pe tick laga hua milega jese touch sound,touch vibrate,screen lock sound,screen lock vibrate is sab ko apko untick kar dena he or save kar dena hai.

To friends ye hein wo 2 seetings jinhe agar aap enable kar lenge to apke phone ka battery backup kaafi had tak sudhar jayega,to doston ummeed he ki apko ye post pasand aayi hogi or ye trick bhi to agar apko ye jankari achchi lagi ho or aap aage bhi isi tarh ki posts ke sath bane rehna chahte hein to hamari is website ko join kar lijiye or hamare youtube channel raza technology tips ko bhi subscribe kar lijiye,thanks for visit.


এই পোস্টটি পরিচিতদের সাথে শেয়ার করুন

পূর্বের পোস্ট দেখুন পরবর্তী পোস্ট দেখুন
এই পোস্টে এখনো কেউ মন্তব্য করে নি
মন্তব্য করতে এখানে ক্লিক করুন

আজকের আইটির নীতিমালা মেনে কমেন্ট করুন। প্রতিটি কমেন্ট রিভিউ করা হয়।

comment url
ajkerit
ajkerit
ajkerit
ajkerit