ajkerit

Online Earning ke best tareeke

Online Earning ke best tareeke
Online Earning ke best tareeke


Hello friends kaise hai aap umeed hai ki aap acche honge dosto aaj har koi online earning karna chahta hai lekin use sahi Jankari nahi mil pati hai ki konsa platform online earning ke liye thik rahega to dosto aaj main aapko online earning ke best platforms ke baare mein bataunga in mein se aap jis platform par chahe mehnat karke kafi acchi earning kar sakte hain to chaliye doston shuru karte hain.

Friends online earning karne ke waise to bahut sare tarike hai lekin main aapko kuch best ways  bata raha hoon Jis se aap kafi acchi earning kar sakte hain or ye tarike ekdum geniun hai chaliye dosto ek ek karke main aapko batata hoon inke  bare mein.

To friends sabse pehle jo hamara tarika hai wo hai blogging ka blogging online earning ka ek bahut hi accha tarika hai Jis par aap  mehnat karke bahut acchi income kar sakte hain tu sabse pehle jaan lete hain ki blogging kya hai dosto google hame blogger par apna 1 Blog banane ki anumati deta hai jo ki ekdum free hota hai ye ek website ki tarah hota hai blogger p hum apna ek blog bana sakte hain aur usme post kar sakte hain hame content achha rakhna hai blog ka design accha rakhna hai kul mila kar google ki policies ke hisab se hame apne blog ko rakhna hai uske baad  AdSense ke liye apply karna hai agar aapka blog adsense ke policies ko follow karta hai to aap ko aasani se approval mil jayega aur agar aapko adsense ka approval mil jata hai to samajh lijiye aap ki earning shuru  ho chuki hai ab aapke blog par Jitna bhi traffic aayega Itni jyada aap ki earning ke chances badhate hain lekin friends ek baat main aapko bata du ki pehle adsense ka approval lena blogger ke liye bahut aasan tha lekin ab thoda mushkil ho gaya hai kyunki pehle blogger par adsense approval aasani se mil jata tha usi ke subdomain ke sath lekin ab agar aapko adsense ka approval chahiye to aapko ek custom domain kharidna hoga aur apne blog par lagana hoga uske alawa aapka content achha hona chahiye copyright content nahi hona chahiye aapka blog user friendly hona chahiye aur mobile friendly hona chahiye agar aap Google ki sari policies to follow karte hain toh aapko adsense approval aasani se mil jayega aur agar aapko adsense approval  mil gaya to  aapki bahut badi problem khatam ho gayi Ab aap ki earning shuru ho chuki hai.


Doston Iske baad online earning ke liye Jo tarika main aapko batane wala Hoon woh bhi google ka hai product or ise Kehte Hai youtube ,youtube par aapko ek channel banana hota hai aur uspar apne videos upload kar sakte hain uske baad aap apne youtube channel ko adsense se connect karke kafi acchi earning kar sakte hain lekin youtube ke niyam bhi pehle se Jyada sakht ho chuke hain pehle aap
Jab video upload karte the to Jab aapke videos par 10000 views complete ho jate the adsense ke ads aapke videos par  show hona shuru ho jate the aur aapki earning start ho Jati thi lekin abhi July mein Pichle saal youtube ne kuch rules change kar diya hai uske hisab se ab aapke channel par pichle ek saal mein 1000 subscribers aur 4000 ghante ka watchtime hona zaroori hai tabhi aap  adsense ke liye apply kar sakte hain tabhi apka channel monetize ho sakta hai tabhi aap ki income shuru ho sakti hai agar aap  apne khud ke acche videos bana sakte hain to aap youtube par achchi khasi earning kar sakte hein.

Friends online earning ke liye agla number aata hai affiliate marketing ka aap kisi bhi company ke affiliate marketing program ko free me join karke unke product ko promote karke kafi acchi earning kar sakte hain jab aap affiliate marketing mein kisi affiliate program to join karte hain tab aapko bahut sare product milte hain in product ko aap ko promote karna hota hai aap in product ke baare mein Logon ko batate hain aur agar aap ki link per click karke koi in product ko kharidta hai toh company aap ko uska commission deti hai jis se aap ki achi khasi earning ho jati hai,aap amazon flipkart ebay kisi bhi compny ke affilate program ko join kar sakte hain.


Dosto online earning ka agla platform hai fiverr, fiverr per do tarah ke log aate hain ek woh Jinhein apna kaam karwana hota hai aur ek woh Jo us kaam ko kar sakte hai agar aap ke andar koi quality hai aap kisi cheez mein specialist hai toh aap apni services dekar wahan se paisa kama sakte hain jaise ki maan lijiye aap ko video editing bahut acche se aati hai to aap apni video editing ki services deker uske badle mein logo se paise le sakte hain isi tarah agar aapko photo editing acche se aati hai to photo editing se related services dekar earning kar sakte hain agar aapko web design  website banana aati hai to website banane ki seva dekar  uske badle me logo se pesa lekar online earning kar sakte hein doston fiverr ek aisa platform he jahan aaj log apni sevayein dekar hazaron nahin balki lakho rupaye kama rahe hein.

To doston yeh the kuch best tarike Jine ke dwara aap online earning kar sakte hain aur isme kisi tarah ki koi risk nahi hai agar aap tarike se mehanat karte hain to acchi earning aap kar sakte hain to doston agar apko ye  jankari achi lagi ho  aur aap aage bhi isi tarah ki post ke sath bane rehna chahte hain toh abhi hamari is website ko subscribe kar lijiye aur hamare youtube channel ko bhi subscribe kar lijiye
 taki  aap hamari aane wali her post se update reh sake, thanks for visit.

এই পোস্টটি পরিচিতদের সাথে শেয়ার করুন

পূর্বের পোস্ট দেখুন
এই পোস্টে এখনো কেউ মন্তব্য করে নি
মন্তব্য করতে এখানে ক্লিক করুন

আজকের আইটির নীতিমালা মেনে কমেন্ট করুন। প্রতিটি কমেন্ট রিভিউ করা হয়।

comment url
ajkerit
ajkerit
ajkerit
ajkerit